Tuesday, June 18, 2013

Sunyata.

Stiti sunya hai aisa ehsaas hota hai,
Par koi toh isse bhi pechaan raha hai,
Apne aap se alag huun yeh yakeen hota hai,
Phir aapne aap ko dundhe ne mein,
Uss shunya ki stiti se alag hota hoon.

Phir nayee soch leti hai janam
Phir wohi soch hoti hai khatam

Chahatein unn soch mein aati hain nazar,
Unnke puure na hone ka phir lagta hai dar,
Issi dar se ladta hoon,
Aeey zindagi tujhe paane ki, tujhse
Ek hone ki keemat deta hoon.

Iss suniya ki stiti se issliye alag rehta hoon.

No comments:

Post a Comment