Friday, May 11, 2012

Raat.


Rumani si raat,
Do labo pe ek baat.
Na shikan, na roshni, ek aahat nayi,
Tanhayi bhi rooth kar humse kahi chali gayi.
Hum bhi khaali se hai,
Ke aap se kabhi dil bharta hi nahi
Teri bachpan ko bhi aaj phir bulaa lete hai,
Narm si galiyo me do pahar guzaar lete hai
Rangeen tere pankho mein aasmaan chupi thi kahi,
Tere udaan me ye baya hua ki meri pehchaan chali gayi hai kahi
Chup chaap akeli,
Wo tu hi thi, aur teri saheli
Jaane kaha hogi wo ab,
Jaane kaha khadi hai tu ab
Afsoos tho hai, Par Gham nahi,
Aap khayalo mein, ye bhi tho kam nahi.
Raato ko akela ab soya bhi nahi jaata,
Aap ke khayalo mein khul ke roya bhi nahi jaata
Aap ka chahara jo apno mein apno sa hai,
Tanha hai, ki ye raat bhi sapno me sapno sa hai ..

No comments:

Post a Comment